Pahar Oor Gulehri - doo

kaha yeh sun kar gulehri nay, mun sanbhaal zara
yeh kachi batein hain dil say inhein nikaal zara
jo mein bari nahi teyri tarha tto kiya parwa
nahi hay tto bhi to akhir miri tarha choota
har ik cheez say payda khuda ki qudtar hay
koi bara, koi choota, yeh os ki hikmat hay
bara jahaan mein tujh ko bana diya os nay
mujhay darakht pay charna sikha diya os nay
qadam othanay ki taqat nahi zara tujh mein
niri barai hay, khubi hay oor kiya tujh mein
jo tto bara hay too mujh saa hunar dikha mujh ko
yeh chaliya hi zara toor kar dikha mujh ko
nahi hay cheez nakam-mi koi zamanay mein
koi bura nahi qudrat kay karkhanay mein