Makra Oor Mak-khi - aik

ik din kisi mak-khi say yeh kehney laga makra
iis rah say hota hay guzar rooz tumhara
lekin miri kutya ki nah jagi kabi qismat
bhulay say kabhi tum ney yahan paoon na rak-kha
ghayroon say nah milye tto koi baat nahi hay
aapnoon say magar chahiye yoon khinch kaynah rehna
aao jo miray ghar main tto ez-zat hay yeh meyri
woh samnay seeri hay jo manzoor ho aana
makhi nay suni baat jo makray ki to boli
hazrat! kisi nadaan ko dejeye ga yeh dhoka
iis jaal main makhi kabhi aanay ki nahi hay
jo aap ki sirri pay charha, phir nahi otra