sun kay bakri yeh maajra sara
boli, ayisa gila nahi acha
baat sach hay bay-maza lagti
mein kahoon gi magar khuda lagti
yeh charagah, yeh thandi thandi hawa
yeh hari ghaas oor yeh sayah
ayisi khushyaan hamein naseeb kahan
yeh kahan, be-zubaan gharib kahan
yeh mazay aadmi kay danm say hein
lutf saaray iisi kay dam say hein
iis kay dam say hay apni aabadi
qeyd ham ko bhali hay kh aazadi!
so tarha ka banoon mein hay khatka
waha ki guzraan say bachaye khuda
ham pay ehsaan hay bara iis ka
ham ko zeeba nahi gila iis ka
qadar aaraam ki agar samjho
aadmi ka kabhi gila na karo
gaye sun kar yeh baat sharma-e
aadmi kay gilay say pishta-e
dil mein parkha bhala bura os nay
oor kuch sooch kar kaha os nay
yoon tto choti hay zaat bakri ki
dil ko lagti hay baat bakri ki