Makra Oor Mak-khi - teen

makray nay kaha dil main suni baat jo os ki
phansoon isay kis tarha yeh kam-bakht hay daana
soo kaam khushamad say nikaltay hain jahan main
dekho jisay dunyan main khushamad ka hay banda
yeh sooch kay mak-khi say kaha os nay bari bee!
Allah nay bakhsha hay bara aap ko rutba
hoti hay osay aap ki soorat say muhab-bat
ho jis nay kabhi aik nazar aap ko dekha
aankhein hain kh heeray ki chamakti howe kanyaan
sar aap ka Allah nay kalghi say sajaya
yeh husn, yeh poshaak, yeh khobi, yeh safai
phir iis pay qiyamat hay yeh ortay howay gana
mak-khi nay suni jab yeh khushamad tto paseeji
boli kh nahi aap say mujh ko koi khatka
inkar ki aadat ko samajhti hoon bura main
sach yeh hay kh dil torna acha nahi hota
yeh baat kahi oor uri apni jagha say
paas aaye to makray ochal kar osay pakra
bhoka tha kai rooz say, aab hath jo aaye
aaram say ghar beth kay mak-khi ko uraya