makray nay kaha wah! fareybi mujhay samjhay
tum sa koi nadaan zamanay main na ho ga
manzoor tumhari mujhay khatir thi wagarna
kuch faeda aapna tto mira iis main nahi tha
orti hoi aaye ho khuda janay kahan say
thehro jo miray ghar main tto hay iis main bura kiya
iis ghar main kai tum ko dikhanay ki hain cheezain
bahir say nazar aati hay chotti si yeh kuttiya
latkay huway darwazoon pay bareek hain parday
deewaroon ko aainoon say hay main nay sajaya
mehmaanoon kay aaram ko hazir hain bechonay
har shakhs ko saaman yeh muyas-sar nahi hota
mak-khi nay kaha khair, yeh sab theek hay lekin
main aap kay ghar aaoon yeh umeed nah rakhna
in naram bichonoon say khuda mujh ko bachaye
so jaye koi in pay to phir uth nahi sakta