Hamalah - aath

ay hamalah! dastaan us waqt ki koi sunaa
maskanay aabaye insaan jaab bana daman tiraa
kuch bataa us sidhi sadhi zindigi ka maajraa
dagh jis par ghazaaye rangay takal-luf ka na thaa

haan dikha day ay tasawurr phir wo subhao shaam tu
dhoor peechay ki taraf ay gardishay ayyaam tu