tham zara betabi dil! bayth janay day mujhay
oor iis basti pay char aansoo giranay day mujhay
ay may-a ghaflat kay saristo! kahan rehtay ho tum?
kuch kaho os days ki, jahan rehtay ho tum
woh bhi hayrat khana-a imroozo farda hay koi?
oor paykaray anasir ka tamasha hay koi?
aadmi waan bhi hisaray-gham main hay mehsur kiya?
os wilayat main bhi hay insaan ka dil majbur kiya?
waan bhi jal marta hay sozay shama par parwana hiya?
os chaman main bhi gulo bulbul ka hay afsanah kiya?
yaan to ik misra main pehlu say nikal jata hay dil
sher ki garmi say kiya waan bhi pighal jata hay dil?
rishta-o-paywandiyaan kay jaan ka aazar hain
os gulistan main bhi kiya aysaay nukilay khar hain?
iis jahan main ik ma-e-shat oor so oftad hay
roh kiya os days main iis fikr say aazad hay?
liya wahan bijli bhi hay, dehkan bhi hay, khirman bhi hay?
qaflay walay bhi hain, andaysha-a rahzan bhi hay?
tinkay chuntay hain wahan bhi aashiyan kay wastay?
khisto dil ki fikr hoti hay makan kay wastay?
waan bhi insan apni asliyat say bayganay hain kiya?
imtiyazay millat-o-aaen kay diwanay hain kiya?
waan bhi kiya faryaday bulbul pay chaman rota nahi?
iis jahan ki tarha waan bhi darday-dil hota nahi?