Khafgaan-e-Khak Say Iistafsaar - teen

baagh hay firdoos ya ik manzilay aaraam hay?
ya rukhay bayparwah husnay azal ka naam hay?
kiya jahannum ma'si-yatay ki ik tarkeeb hay?
aag kay sholoon main pinhaan maqsaday tadeeb hay?
kiya e-waz raftaar kay os dees main parwaz hay?
mot kehtay hain jisay ehlay zameen, kiya raaz hay?
iztirabay dil ka samaan yan ki hast-o-bood hay
ilmay insaan os wilayat main bhi kiya mehdood hay?
deed say taskeen pata hay dilay-mehjur bhi?
lan-tarani keh rahay hain kiya wahan kay tur bhi?
justuju main hay wahan bhi roh ko aaraam kiya?
waan bhi insaan hay qateelay zooqay istfhaam kiya?
ah! woh kishwar bhi tareeki say kiya ma'mur hay?
ya muhabbat ki tajalli say sarapa noor hay?
tum bata doo, raaz jo iis gumbaday girdaan main hay
mot ik chubta huwa kanta dilay insaan main hay