Khafgaan-e-Khak Say Iistafsaar - aik

mehray roshan chup gay-ya, othi niqaabay ro-a shalam
shana-a hasti pay hay bikhra huwa gaysu-a sham
yeh siy-yah pooshi ki tai-yari kisi kay gham main hay
mehfile qudrat magar khursheed kay maatam main hay
kar raha hay aasmaan jadu labay guftar par
sahiray shab ki nazar hay deeda-a baydar par
ghotahzan darya-a khamoshi main hay mojay hawa
haan, magar ik dur say aati hay awazay dra
dil ki hay baytabi olfat main dunya say nufoor
khaynch laya hay mujhay hangama-a aalam say dur
manzaray harmaan naseebi ka tamasha-e hoon main
ham nasheenay khuftaganay kunjay tanha-e hoon main