aata hay yaad mujh ko guzra huwa zamanah
woh baagh ki baharein, woh sab ka chehchahana
aazadiyan kahan woh abb apnay ghonslay ki
apni khushi say aana, apni khushi say jaana
lagti hay chot dil par, aata hay yaad jis dam
shabnam kay ansuoon par kalyoon ka muskarana
woh piyari piyari soorat, woh kamni si moorat
aabad jis kay dam say tha may-ra aashiyanah
aati nahi sadaein os ki miray qafs main
hoti miri riha-e ay kaash may-ray bas main!
kiya bad-naseeb hoon main ghar ko taras raha hoo
sathi tto hain watan main, main qayd main para hoon
aa-e bahar, kaliyaan phoolon ki hans rahi hain
main iis andhay-ray ghar main qismat ko ro raha hoon
iis qayd ka ilahi! dukhra kisay sunaoon
dar hay yahein qafs main main gham say mar na jaoon
jab say chaman chuta hay, yeh haal ho gay-ya hay
dil gham ko kha raha hay, gham dil ko kha raha hay
gana iisay samajh ka khush hoon na sun-nay walay
dukhay huway dilon ki faryaad yeh sadaa hay
aazad mujh ko kar day, O qayd karnay walay!
main bay-zubaan hoon qaydi, tto choor kar dua lay