Sadaa-a-Dard

jal raha hoon kal nahi parti kisi pehlu mujhay
han dabo day ay muhitay aabay ganga tu mujhay
sarzameen apni qiyamat ki naffaq angez hay
wisl kaisa, yaan tto qurbay faraq angez hay
badlay yak rangi kay yeh na aashnae hay gazab
aik hi khirman kay danon mai judae hay gazab
jis kay pholon main akhuwat ki hawa nahi aati
os chaman main koi lutfay naghma perai nahi
lazzate qurbay haqiqi par mita jata hoon main
ikhtilatay mooj-o-sahil say ghabrata hoon main
danae khirman numa hay shaire mo'jiz biyaan
ho nah khirman hi tto os danay ki hasti phir kahan
husn ho kiya khud numa jab koi mael hi nah ho
shamma ko jalnay say kiya matlab jo mehfil hi nah ho
zooqay goya-e khmoshi say badalta kyon nahi
may-ray ainay say yeh johor nikalta kyon nahi
kab zubaan kholi hay hamari laz-zatay guftar nay!
phoonk dala jab chaman ko aatishay pekar nay