kaha mein nay pehchaan kar may-ri jaan!
mujhay choor kar tum aa gaye kahaan
judaye mein rehti hoon mein bay-qarar
parooti hoon har rooz ashkoon kay haar
nah parwa hamari zara tum nay ki
gaye choor, achi wafa tum nay ki
jo bachay nay dekha mira pech-o-taab
diya os nay moon phair kar yoon jawaab
rulati hay tujh ko juday-e miri
nahi iis main kuch bhi bhala-e miri
yeh keh kar woh kuch deertak chup raha
diya phir dikha kar yeh kehnay laga
samajhti hay tto ho giya kya iisay?
tiray aansuoon nay bhjhaya iisay