Aqal-O-Dil - doo

dil nay sun kar kaha yeh sab sach hay
par mujhay bhi tto dekh kiya hoon main
razay hasti ko tto samajhti hay
oor ankhoon say dekhta hoon main!
hay tujhay wasta mazahir say
oor batin say aashna hoon main
ilm tunjh say tto ma'rifat mujh say
tu khuda ju, khuda numa hoon main
ilm ki intiha hay baytabi
iis marz ki magar dawa hoon main
shamma tu mehfilay sadaqat ki
husn ki bazm ka diya hoon main
tu zaman-o-makaan say rishtah bapa
ta-e-ray sidrah aashnaa hoon main
kis buland pay hay makan mira
arsh rabbay jaleel ka hoon main